Roman script

garam garam taaza taaza lekar aaya hu

hey garam garam taaza taaza

le kar aaya hu

mai neewala mai neewala

baris me aau garmi me aau

sabki bhukh mitau

mai dabbewala mai dabbewala

hey mai dabbewala

har subah cycle lekar

sabke ghar jau

sabke naam ka dibba

sabke office me de aau

kaam karu chat pat jhat pat

kabhi na sharmau

sewa ko mai pooja samjhu

ram ka gun gau

khana khilau tasalli dilau

sabke naaz uthau

hey mai dabbewala mai dabbewala

hey mai dabbewala

are bade bade afsar mera

khate hai khana

anpadh hu par daftar me

hai mera aana jana

bambai ka har ek chehra

hai jana pehchana

phir bhi sadko par har koi

lagta hai begana

bidi jalau uljhan mitau

iss dil ko samjhau

hey mai dabbewala mai dabbewala

are mai dabbewala

barho mahine kaam kare hum

milti nahi chhuti

apni kismat do gaj kapda

chawal do muthi

apne naam ki aati hai

jab bhule se chithi

yaad aati hai apne desh ki

wo sondi mitti

cycle uthau chopati jau

yaado me kho jau

mai dabbewala mai dabbewala mai dabbewala

log mujhe keh dete hai

chalta firta hotel

apna jeevan to nau char

satra kilo kal

kabhi kabhi ho jata hai

ye tan mann bojhal

muh se laga lete hai

chhup kar daru ki botal

chadar bichhau koi geet gau

footpath par so jau

mai dabbewala mai dabbewala mai dabbewala

didi tera devar deewana

jab ye sunu gaana

yaado mai meri karta hai

hulchul bita hua wo zamana

bhaiya ke dar se bhabhi ke pichhe

wo mera chhup jana

basti me wo hungama karna

goriyo se takrana

aansu chhupau phir muskurau

bhagam bhag machau

hey mai dabbewala mai dabbewala mai dabbewala

garam garam taaza taaza

le kar aaya hu

are garam garam taaza taaza

le kar aaya hu

mai neewala mai neewala

baris me aau garmi me aau

sabki bhukh mitau

mai dabbewala mai dabbewala mai dabbewala

mai dabbewala mai dabbewala

Explore this song