Roman script

mai ban ki bholi gavalniya

mai ban ki bholi gavalniya

o shyam teri ban jaungi 

ghanshyam teri ban jaungi 

teri mithi mithi murli par

teri mithi mithi murli par

mai savan ban kar mandraungi 

ghanshyam teri ban jaungi

maine tere liye singar kiya 

maine tere liye singar kiya 

aur naino ko tujh par war diya

jana na kabhi maine pahle

jana na kabhi maine pahle

mai git prit ke gaungi 

ghanshyam teri ban jaungi

o ghanshyam teri ban jaungi

mai ras ki gagariya 

mai ras ki gagariya 

se bhig gayi mai bhig gayi

jivan me pahli bar aaj

jivan me pahli bar aaj

mai apne se sharmaungi

ghanshyam teri ban jaungi

o ghanshyam teri ban jaungi

mai ban ki kali aur ban me pali

kabhi dekhi nahi pritam ki gali

kabhi dekhi nahi pritam ki gali

kab darash milega mohan ka

kab darash milega mohan ka

kab mohan par bali jaungi

ghanshyam teri ban jaungi

mai ban ki bholi gavalniya

mai ban ki bholi gavalniya

Explore this song