Roman script

le ja apni yaad bhi le ja

ab to ho gayi preet parai

o harjai

teri jafa ne sab kuch luta

meri wafa kuch kaam na aayi

o harjai

mohabbat pe meri hukumat jo hoti

to main aaj gala ghot deti

gala ghot deti

magar kya karu main mohabbat ki duniya

kisi ne banai thi kisi ne mitai

o harjai

tera naam saanso me jab tak rahega

mera dil tadapta machalta rahega

ye jalta rahega

mujhe khak karde tasalli to ho kuch

ke jisne lagai usi ne bujhai

o harjai

hua is taraf khatam mera fasana

mohabbat ke matam se khush hai zamana

khush hai zamana

maut ki doli pe main baithi hu

duniya dekhe ri shehnai

o harjai 

le ja apni yaad bhi le ja

ab to ho gayi preet parai

o harjai

Explore this song