Roman script

lamha lamha tut gaye hai

ek apne se ruth gaye hai

manjil par aane se pehle

ham raaho se chhut gaye

lamha lamha tut gaye

ek apane se ruth gaye

jin hatho ki ham kismat the

un hatho se chhut gaye

lamha lamha tut gaye

lamha lamha tut gaye

jude huye hath, tuti takdir

aur kya karegi ye lakiro ki janjir

tera mera sath ab naa hogi baat

tu bhi khafa, mai bhi khafa

gham ki kaali raat

sapne sach hone se pehle

ek ek karke tut gaye

lamha lamha tut gaye

lamha lamha tut gaye

khamoshiya andhiya ban naa jaye

faasle kahi duriya ban naa jaye

darta hu gham ki ibadat naa kar lu

tanhaiyo se mohabbat naa kar lu

gham ke barati aakar ke 

sukh ko mere lut gaye

lamha lamha tut gaye

ek apane se ruth gaye

jin hatho ki ham kismat the

un hatho se chhut gaye

lamha lamha tut gaye

lamha lamha tut gaye

Explore this song