Roman script

lag ja gale ki phir ye hasin raat ho na ho

shaayad phir is janam men mulaaqaat ho na ho

lag jaa gale se ...

ham ko mili hain aaj, ye ghadiyaan nasib se

ji bhar ke dekh lijiye ham ko qarib se

phir aap ke nasib men ye baat ho na ho

phir is janam men mulaaqaat ho na ho

lag ja gale ki phir ye hasin raat ho na ho

paas aaiye ki ham nahin aaenge baar-baar

baahen gale men daal ke ham ro le zaar-zaar

aankhon se phir ye pyaar ki barasaat ho na ho

shaayad phir is janam men mulaaqaat ho na ho

lag ja gale ki phir ye hassin raat ho na ho

shaayad phir is janam men mulaaqaat ho na ho

lag ja gale ki phir ye hassin raat ho na ho

Explore this song