Roman script

ladki hai bholi bhali thodi si nakhrewali

dil aa gaya hai uspe yaar ho

ho jaaye na use pyaar

ho yaara ho jaaye na use pyaar

sab jaanti hai anjaani si hai

karna hai bas ikraar ho yaara

ho jaaye na use pyaar

haatho mein kangan hai, maathe pe bindiya hai

lagta hai khatre mein, ab meri neendiya hai

baalo mein gazra hai, aankhon mein kaajal hai

chhulu main haatho se

par ladki chanchal hai

dil pe zor nahi hai ho ho, dil pe zor nahi hai

kisi ka nahi mera yaar, ho jaaye na use pyaar

ho yaara ho jaaye na use pyaar

masti mein mausam hai

dil mein bhi hasrat hai

dil ki baate keh doon main

kya iski izazat hai, ho hotho pe halki si

yeh jo muskurahat hai

yeh meri chahat ki, kya pehli aahat hai

aisa teer chalaya ho ho

aisa teer chalaya ho gaya dil ke paar

ho jaaye na use pyaar

ho yaara ho jaaye na use pyaar

ladki hai bholi bhali thodi si nakhrewali

dil aa gaya hai uspe yaar ho

ho jaaye na use pyaar

ho yaara ho jaaye na use pyaar

sab jaanti hai anjaani si hai

karna hai bas ikraar ho yaara

ho jaaye na use pyaar

ho jaaye na use pyaar

ho yaara ho jaaye na use pyaar

Explore this song