Roman script

kya naam hai tumhaara

tum kidhar se aayi bolo na bolo bolo

kaun hu main kya naam hai mera 

main kahaan se aayi hu

main pariyon ki shehjaadi 

main aasma se aayi hu

kaun hu main kya naam hai mera 

main kahaan se aayi hu

main pariyon ki shehjaadi 

main aasma se aayi hu

na jaapani gudiya hu 

na main bengal ka jaadu hu 

na jaapani gudiya hu 

na main bengal ka jaadu hu 

dhund rahe ho sab jisko 

main wahi tumhaari khushbu hu

udkar sidhi main jannat ke 

gulsita se aayi hu

main pariyon ki shehjaadi 

main aasma se aayi hu

khaan chaaha aur chaube daada 

aapas mein kyun ladate ho 

khaan chaaha aur chaube daada 

aapas mein kyun ladate ho 

maine unko dekha hai 

tum jinki kitaabein padhate ho

raam rahim wahi rehate hai 

main jahaan se aayi hu

main pariyon ki shehjaadi 

main aasma se aayi hu

ik din maine dekha sote

swarg ke peharedaro ko 

ik din maine dekha sote

swarg ke peharedaro ko

tota maina waali kahaani hogi 

yaad hajaro ko

main uss tota maina waali 

daasta se aayi hu

main pariyon ki shehjaadi 

main aasma se aayi hu

kaun hu main kya naam hai mera 

main kahaan se aayi hu

main pariyon ki shehjaadi 

main aasma se aayi hu

la la la la la la la

Explore this song