Roman script
Deeshab ke tu az mehr ba baam Mehr baam aamada boody aamada boody ( This Verse is in Afghan language Dari ) Dhadkano ki taal baaje Saanson ka ek tara Aangan mein sajaye baithein Sooraj chanda taara Dhadkano ki taal baaje Saanson ka iktara Aangan mein sajaye baithein Sooraj chanda taara Chalo baant lein hum zindagi Zara aaj yun kar lein Kaho kya khayal hai Ik jahan chota sa apna Ik jahan tumhara Muskaan chahe meethi ho Ya aansoon ek khara Chalo baant lein ghum aur khushi Thodi guftagoo kar lein Kaho kya khayaal hai Aap se do baat kar lein Yaadon ko jebon mein bhar lein Aaye hain hum kuch dino ke baad Yaaron ki saubat mein aake Dheere se kuch gunguna ke Yuhin kat jaate hain din aur raat Muthi mein tum bheench lana sawan hara Ek dhanak tum bhi tod lana falak se zara Muthi muthi baant lenge kiranon ka katra Ik sikka dhoop humse lena gar kam laga Betuk hi Be matlab hans le hum Kyun na is lamhe mein Haan jee lein hum Chalo baant lein hum zindagi Zara aaj yun kar lein Kaho kya khayaal hai Aap se do baat kar lein Yaadon ko jebon mein bhar lein Aaye hain hum kuch dino ke baad Yaaron ki saubat mein aake Dheere se kuch gunguna ke Yuhin kat jaate hain din aur raat Thanks to Elaha Sal for Dari Lyrics
Song details
- Singer: Zebunnisa Bangash
- Singer: Haniya
- Singer: Shantanu Moitra
- Singer: Swanand Kirkire
- Film / album: The Dewarists
- Composer: Shantanu Moitra
Song video
Song video
singer: Zebunnisa Bangash, Haniya, Shantanu Moitra, Swanand Kirkire
director: Vishwesh Krishnamoorthy with Fred, Swanand Kirkire, Zebunnisa Bangash, Dewarists Song
language: Hindi