Roman script

dhadkano ki taal baaje

saanso ka ek tara

aangan mein sajaye baithe

sooraj, chanda, taara

dhadkano ki taal baaje

saanso ka ek tara

aangan mein sajaye baithe

sooraj, chanda, taara

chalo baant le hum zindagi

zara aaj yu kar le

kaho kya khayal hai

ik jahan chota sa apna

ik jahan tumhara

muskaan chahe meethi ho

ya aansu ek khara

chalo baant le gham aur khushi

thodi guftgu kar le

kaho kya khayal hai

aap se do baat kar le

yaadon ko jebo mein bhar le

aaye hain hum kuch dino ke baad

yaaron ki saubat mein aake

dheere se kuch gunguna ke

yuhin kat jaate hain din aur raat

muthi mein tum bhinch lana sawan hara

ek dhanak tum bhi tod lana falak se zara

batti batti baant lenge kiranon ka katra

ik sikka dhoop humse lena agar kam laga

betuk hi bematlab hans le hum

kyun na is lamhe mein

haan jee le hum

chalo baant le hum zindagi

zara aaj yu kar le

kaho kya khayal hai

dhadkano ki taal baaje

saanso ka ek tara

aangan mein sajaye baithe

sooraj, chanda, taara

chalo baant le hum zindagi

zara aaj yu kar le

kaho kya khayal hai

aap se do baat kar le

yaadon ko jebo mein bhar le

aaye hain hum kuch dino ke baad

yaaron ki saubat mein aake

dheere se kuch gunguna ke

yuhin kat jaate hain din aur raat

Explore this song