Roman script

pyar me chup chup ke milne ka maza 

kuch aur hai 

haal e dil aankho se kahne ka maza 

kuch aur hai 

kaam wo duniya jise kahti hai ki na kijiye 

kaam wo duniya jise kahti hai ki na kijiye 

chori chori usko karne ka maza 

kuch aur hai 

pyar me chup chup ke milne ka maza 

kuch aur hai, kuch aur hai

suna tha zami par utarti hain hoori 

tumhe jab se dekha yakeen aa gaya hai 

haseen aur bhi the zamane me lekin 

aankho ne meri tumhe chun liya hai 

humsafar manchaha jisko mil jata hai pyar me 

uspar jaan saar karne ka maza 

kuch aur hai 

haal e dil aankho se kahne ka maza 

kuch aur hai, kuch aur hai 

nai bekarari nai bekhudi hai 

tumhare labo par nai tajgi hai 

tumhari mohbbat asar kar rahi hai 

jo tum kar na paye nazar kar rahi hai 

dhadkane jab do jawa dil ki ek ho jati hain 

to chahat me had se guzarne ka maza 

kuch aur hai 

pyar me chup chup ke milne ka maza 

kuch aur ha

haal e dil aankho se kahne ka maza 

kuch aur hai

kaam wo duniya jise kahti hai ki na kijiye 

chori chori usko karne ka maza 

kuch aur hai, kuch aur hai

han kuch aur hai, kuch aur hai

Explore this song