Roman script

kisi ko banana, kisi ko mitana

kisi ko banana, kisi ko mitana

ajab hai ye duniya, ajab ye zamana

ajab hai ye duniya, ajab ye zamana

hai dono hi insa pale ek chaman me

wo hi ek thi jaan dono ke tan me

magar koi ode hai phulo ki chadar

phulo ki chadar

hai mushkil kisi ke liye sar chhupana

ajab hai ye duniya, ajab ye zamana

ajab hai ye duniya, ajab ye zamana

hai sar par kisi ke baharo ke saye 

kisi par balao ke badal hai chhaye

kisi ke liye sirf aansu ki bunde

aansu ki bunde

kisi ke liye motiyo ka khazana

ajab hai ye duniya, ajab ye zamana

ajab hai ye duniya, ajab ye zamana

koi chain se hai, tarasta hai koi

kisi ke ujadne se basta hai koi

na jane ye andher kab tak rahega 

kab tak rahega

gham ek ki dusre ka thikana

ajab hai ye duniya, ajab ye zamana

ajab hai ye duniya, ajab ye zamana

Explore this song