Roman script

kisiki muskurahato pe ho nisar
kisika dard mil sake to le udhar
kisike vaste ho tere dil me pyar
jina isi ka nam hai
kisiki muskurahato pe ho nisar
kisika dard mil sake to le udhar
kisike vaste ho tere dil me pyar
jina isi ka nam hai
mana apni jeb se fakir hai
phir bhi yaro dil ke ham amir hai  
mana apni jeb se fakir hai
phir bhi yaro dil ke ham amir hai  
mite jo pyar ke liye vo zindagi
jale bahar ke liye vo zindagi
kisi ko ho na ho hame to aitabar
jina isi ka nam hai
rishta dil se dil ke aitabar ka 
zinda hai hami se naam pyar ka  
rishta dil se dil ke aitabar ka 
zinda hai hami se nam pyar ka 
ke mar ke bhi kisi ko yad ayenge
kisi ke aansuo me muskurayenge
kahega phul har kali se bar bar
jina isi ka nam hai
kisiki muskurahato pe ho nisar
kisika dard mil sake to le udhar
kisike vaste ho tere dil me pyar
jina isi ka nam hai

Song details

Song video

Watch on YouTube