Roman script

diljala ya diljali ek ek tamanna jal gayi

aag ghar me kya lagi 

duniya se duniya jal gayi 

haye khata ho kisi ki kisi ko saza do

khata ho kisi ki kisi ko saza do

ye insaf kaisa hai itna bata do

khata ho kisi ki

baharo ke mausam me rona pada hai

zara mujhko rona tadapna sikha do

khata ho kisi ki

bahut yaad aayega bita zamana

mera kya mujhe tum bhula do bhula do

khata ho kisi ki

basai thi kisne murado ki duniya

ha murado ki duniya

agar chahate ho mitana mita do

khata ho kisi ki

bade kimti hai mohabbat ke aansu

mohabbat ke aansu

koi jake un par ye moti luta do

khata ho kisi ki kisi ko saza do

ye insaf kaisa hai itna bata do

khata ho kisi ki

Explore this song