Roman script

khamosh hai khewanhar mera

naiya meri dubi jati hai

khamosh hai khewanhar mera

khamosh hai khewanhar mera

naiya meri dubi jati hai

naiya meri dubi jati hai

jinda hun magar ab jine ki

umid bhi tuti jaati hai

khamosh hai khewanhar mera

sahil ki tamanna thi mujhko

majhadhar me beda ja pahucha

jine ki duaaein kyan mangu

pani to gale tak aa pahucha

dil dhundh raha hai duniya ko

duniya hai ke chhuti jati hai

naiya meri dubi jati hai

khamosh hai khewanhar mera

gham apna juban tak la naa sakun

sansar ko munh dikhla naa sakun

ghutta hai jo dam rukte hai kadam

badhte hai kadam rukte hai kadam

ghutta hai jo dam rukte hai kadam

manjil ki taraf bhi ja naa sakun

bhatka hua raahi jaan ke ab

takdir bhi ruthi jati hai

naiya meri dubi jati hai

khamosh hai khewanhar mera

charno me tere hai laaj meri

sun aaj jara fariyad meri

tu dur nahi, majbur nahi

nagari hai magar barbad meri

kya yuhi garibo ki duniya

sansar me luti jati hai

jinda hun magar ab jine ki

umid bhi tuti jaati hai

khamosh hai khewanhar mera

Explore this song