Roman script

karta hai ek raavi ye dilsoj ye baya

ramjan ke mahine ki mashur dasta

mulke yaman me ladka tha 

ek aath saal ka charcha tha 

shahar shahar me jiske jamal ka

roza khuda ke naam pe rakhne ka shok tha

ramjan ka jo chand najar usko aa gaya

kahne laga ye maa se ke roza rakhunga mai

mujhko jagana rat ko sehri karunga mai

bache ki baat ka na kiya maa ne kuch khyal

ladka jo subah utha to usko hua malal

samjhaya maa ne aye mere 

dilbar na kar malal

roza nahi hai farz abhi tujhpe mere lal

masum dil pe thes lagi maa se yu kaha

ammi suno ye kehta hai kuran me khuda

roze ki bukh pyas ka jo gum uthayega

us rozadar ko na jahanam jalayega

kuran ka nujum is maah me hua

tauba kabul karta hai is maah me khuda

alkisha rat aayi to wo jagta raha

kehna kisi ka kuch na suna 

roza rakh liya

sehri wo karke soya or so ke jab utha

bete ka matha chum ke father ne ye kaha

roza na rakh sakega tu jid apni chhod de

de dungi apna roza tujhe roza tod de

ladka ye bola khana mai hargiz na khaunga

apne khudaye pak ko kya muh dikhaunga

dopahar dhalke hasar ka jab waqt aa gaya

pani begair pyas se khushk ho gaya gala

sine me sans ruk gayi chakkar sa aa gaya

kamsim tha najanin chakra ke gir pada

harkat jo dil ki band hui aankh jhuk gayi

nabje idhar ruki to udar saans ruk gayi

maa ne kaha pukar ke masum chal diya

awtar ki khushi se mahrum chal diya

maa bap lash dekhte the apne lal ki

mayyat padi thi samne ek aath sal ki

aakhir to roza kholne ka waqt aa gaya

dono ne gum me bete ke khaya na kuch piya

naagaah dar pe aake sawali ne di sada

sahil ki shakal me tha farishta khada hua

aawaz di ke le lo fakiro ki tum dua

mai bhi hu rozadar do allah ke nam ka

jis dam suni fakir ki dono ne ye sada

awtar ko jo rakha tha sahil ko de diya

sahil ne bikh leke kaha majra hai kya

matam hai ghar me kaisa ye mujhko bhi do bata

sahil ko apne sath fidar ghar me le gaya

hardang ke janaje ko la kar dikha diya

bache ki lash dekh ke sahil ne kuch pada

sine pe hath rakh ke ye murde ko di sada

aye nanhe rozadar tu ab roza khol de

gum geen maa khadi hai jara maa se bol le

jumbish labo pe hone lagi aankh khol di

bache ko jinda dekh kar mothar lipat gayi

sahil ye kahke aankho se ruh tosh ho gaya

bejha hua mai aaya tha parwardigar ka

tha imtiha ka waqt musibat ki ye ghadi

jo uspe jan dete hai marte nahi kabhi

marte nahi kabhi

Explore this song