Roman script

ja base pardesh me

kis par karu singar

aag lagaye man me, holi kya tyohar

kajal bina meri fiki hai ankhiya

kajal bina, fagun fika

holi ke din char, sakhi

nahi aaya sandesha mere pee ka

kajal bina meri fiki hai ankhiya

kajal bina, fagun fika

holi ke din char, sakhi

nahi aaya sandesha mere pee ka

rowat rowat thak gayi

nain ho gaye lal

ab kyu fenka nain mere me

sakhiyo lal gulal

taare gin gin ratiya bitai

batiya likh likh kar haari

tare gin gin ratiya bitai

batiya likh likh kar haari

yaad teri hraday se laga kar

rou main birha ki maari

aag laga jal jau ae saheli

aag laga jal jau ae saheli

na jale ye dil, jayegi saans

kajal bina, fagun fika

kajal bina meri fiki hai ankhiya

kajal bina, fagun fika

holi ke din char, sakhi

nahi aaya sandesha mere pee ka

Explore this song