Roman script

kahani badi suhani hai ram ki amar kahani hai

raghupati raghaw ramchandar ki amar kahani hai

kahani badi suhani hai ram ki amar kahani hai

sone ke palna me lalna jhulaye

mayya sunaye re loriya

naino ke tare ram lakhan ne 

pakdi hai resham ki doriya

dev lok se phul baraste 

gunji mangal vani hai gunji mangal vani hai

raghupati raghaw ramchandar ki amar kahani hai

kahani badi suhani hai ram ki amar kahani hai

in nanhe munne hatho me 

nanhe nanhe teer kaman

sikh rahe veero ki vidya

sikha rahe guru chatur sujan

in teero se aaj nahi to 

kal prithvi sukh pani hai

janakpuri me ho gaya lakshmi ka awtar

hui jawan janki gunj uthi jaikar 

siya ki gunj uthi jaikar

ye janak ki lali leke mala chali sathi pane

raghu ke charno me pooja sajane

shiv ka dhanush todne wale ko 

mala pahnani hai maryada purushotam parbhu ki 

siya bani maharani hai siya bani maharani hai

raghupati raghaw ramchandar ki amar kahani hai

kahani badi suhani hai ram ki amar kahani hai

honhar ki lila chale na honhar ki lila

kaha tilak ho saka ram ka 

mata ne war mange

nagri me cha gayi udasi bhagya bhumi ke jage

chale ram banwas chale ram banwas 

reet raghukul raksha ki thani hai

raghupati raghaw ramchandar ki amar kahani hai

kahani badi suhani hai ram ki amar kahani hai

jab sota sansar jagta jati kuti ke dwar

jagta jati kuti ke dwar

asli tapasya me lakshaman ne 

barah baras bitaye

brahmcharay wart ka palan karke

man ke deep jalaye

amar sadhna aisi jiska kahi na milta par

jiska kahi na milta par

bhawna bhari kahani hai sadhna bhari kahani hai

raghupati raghaw ramchandar ki amar kahani hai

kahani badi suhani hai ram ki amar kahani hai

maya ka mrig panchwati me jabhi uchalta aaya

kaha siya ne piya hiran ye sone ka man bhaya

gaye kuti ko chhod ram ji gaye kuti ko chhod 

gaye kuti ko chhod siya ne tab ye suni duhai

he lakshman he siya

lakshman ko sita ne bheja man hi man uklai

besh badal kar rawan ne apni kholi failai

biksham dehi biksham dehi 

biksham dehi dware alakh jagau

bandhi hui biksha lene ko 

kaise bhitar aau mai dware alakh jagau

parithwo ke palak ki patni 

chura chala abhimani hai

phul pattiya ped puchte kaha ram ki rani hai

kaha ram ki rani hai kaha ram ki rani hai

gagan gali me lali janak ki rat thi hairan

rat thi hairan ram he ram ram he ram

kaha ho mere swami ram 

kaha ho antaryami ram ram he ram

Explore this song