Roman script

kaha se aaye badara ho 

kaha se aaye badara ho ghulta jaye kajara

kaha se aaye badara ho ghulta jaye kajara

kaha se aaye badara ho

palko ke satarange dipak, palko ke satarange deepak 

ban baithe aansu ki jhalar, ban baithe aansu ki jhalar

moti ka anamolak hira mitti me ja phisala

kaha se aaye badara ho ghulta jaye kajara

kaha se aaye badara ho

nind piya ke sang sidhari, nind piya ke sang sidhari

sapno ki sukhi phulvaari, sapno ki sukhi phulvaari

amrit hotho tak aate hi jaise vish me badala

kaha se aaye badara ho ghulta jaye kajara

kaha se aaye badara ho

utare megh piya par chhaye aa utare megh piya par chhaye

nirday jhonke agan badhaye, nirday jhonke agan badhaye

barase hai ab tose saavan roye, mann hai pagala

kaha se aaye badara badara ho ho

Explore this song