Roman script

ab ke baras ye sawan ki jhdiya

ab ke baras ye sawan ki jhdiya 

laayi sang apne mere sapno ka meet re 

aanchal bhar ke paayi maine sajna ki preet re 

toot ke barsi moti ki ladiya 

toot ke barsi moti ki ladiya 

jaaga dhadkano me aaj pyaar ka sangeet re 

aaya hai machal ke mere honthon pe ye geet re

ab ke baras ye sawan ki jhdiya

apni khushi ke aaye jamaane

machale deewana dil ye naa maane 

apni khushi ke aaye jamaane

machale deewana dil ye naa maane 

maine haar ke dil ye jamaana liya jeet re 

aanchal bhar ke paayi maine sajna ki preet re 

toot ke barsi moti ki ladiya 

toot ke barsi moti ki ladiya

baahon me aaja dil se laga lu

apne ko khokar tujhko main paa lu

baahon me aaja dil se laga lu

apne ko khokar tujhko main paa lu

aaja yaar mere ye ghadi naa jaaye beet re 

aaya hai machal ke mere honthon pe ye geet re

ab ke baras ye sawan ki jhdiya

ab ke baras ye sawan ki jhdiya 

laayi sang apne mere sapno ka meet re 

aanchal bhar ke paayi maine sajna ki preet re 

toot ke barsi moti ki ladiya 

toot ke barsi moti ki ladiya 

jaaga dhadkano me aaj pyaar ka sangeet re 

aaya hai machal ke mere honthon pe ye geet re

sawan ki jhdiya moti ki ladiya

sawan ki jhdiya moti ki ladiya

Explore this song