Roman script

kahaan tak ham uthaayen gam jiyen ab ya ke mar jaaye 

are zaalim muqaddar ye bata de ham kidhar jaaye

ham unka naam lekar kaat denge zindagi apni 

na vo aaye magar milne ka kar vaada to kar jaaye 

papeehe se kaha gaaye na vo nagme bahaaron ke

kaho gulshan ujad jaaye kaho kaliyaan bikhar jaayen

kaho gulshan ujad jaaye kaho kaliyaan bikhar jaayen

are zaalim muqaddar ye bata de ham kidhar jaaye

kahaan tak ham uthaayen gam jiyen ab ya ke mar jaaye

Explore this song