Roman script

bikhar gaye bachpan ke sapne, armaao ki shaam dhale

kahi saje baarat kisi ki, kahi kisi ka pyaar jale

kah do koi na kare yaha pyaar 

kah do koi na kare yaha pyaar 

isme kushiya hai kam, beshumaar hai gam

ek hansi aur aansu hazaar

kah do koi na kare yaha pyaar 

prit patanga diye se kare

prit patanga diye se kare

uski hi lau me vo jal-jal mare

mushkil raahe yaha, ashk aur aahe yaha

isme chain nahi na karaar

kah do koi na kare yaha pyaar 

hamne to samajha tha phul khile

hamne to samajha tha phul khile

chun-chun ke dekha to kaante mile

ye anokha jahaan, hardam dhokha yaha

is viraane me kaisi bahaar

kah do koi na kare yaha pyaar 

isme kushiya hai kam, beshumaar hai gam

ek hansi aur aansu hazaar

kah do koi na kare yaha pyaar

Explore this song