Roman script

kabhi raat-din hum dur the, din-raat ka abb saath hai 

woh bhi itefaaq ki baat thi, yeh bhi itefaaq ki baat hai 

kabhi raat-din hum dur the

teri aankh me hai khumaar sa, meri chaal me hai surur sa 

yeh bahaar kuchh hai piye huye, yeh sama nashe me hai chur sa 

yeh sama nashe me hai chur sa 

kabhi in fijaao me pyaas thi, abb mausam-e-barsaat hai

woh bhi itefaaq ki baat thi, yeh bhi itefaaq ki baat hai

kabhi raat-din hum dur the

mujhe tumne kaise badal diya, hairaan hu main is baat par

mera dil dhadakta hai aajkal, teri shaukh najaro se puchhkar 

teri shaukh najaro se puchhkar 

meri jaan kabhi mere bas me thi, abb jindagi tere haath me hai

woh bhi itefaaq ki baat thi, yeh bhi itefaaq ki baat hai

kabhi raat-din hum dur the

yu hi aaj tak rahe hum juda, tumhe kya mila hame kya mila

kabhi tum khafa, kabhi hum khafa, kabhi yeh gila, kabhi woh gila

kabhi yeh gila, kabhi woh gila

kitne bure the woh din sanam, kitni hasin yeh raat hai

woh bhi itefaaq ki baat thi, yeh bhi itefaaq ki baat hai

kabhi raat-din hum dur the, din-raat ka abb saath hai

kabhi raat-din hum dur the

Explore this song