Roman script

jhumti chali hawa
jhumti chali hawa, yaad aa gaya koi 
bujhti bujhti aag ko, phir jala gaya koi 
jhumti chali hawa
kho gayi hain manzile, mit gaye hain raaste 
kho gayi hain manzile, mit gaye hain raaste 
gardishe hi gardishe, ab hain mere vaaste 
ab hain mere vaaste 
aur aise me mujhe, phir bula gaya koi 
jhumti chali hawa, yaad aa gaya koi 
jhumti chali hawa
ek huk si uthi, main sihar ke rah gaya
ek huk si uthi, main sihar ke rah gaya
dil ko apne tham ke aah bhar ke rah gaya
aah bhar ke rah gaya
chandni ki oat se muskura gaya koi
jhumti chali hawa, yaad aa gaya koi 
bujhti bujhti aag ko, phir jala gaya koi 
jhumti chali hawa
yaad aa gaya koi 
yaad aa gaya koi

Song details

Song video

Watch on YouTube