Roman script

jhoomti chali hawaa

jhoomti chali hawaa, yaad aa gaya koyi

bujhti bujhti aag ko, phir jalaa gaya koyi

jhoomti chali hawaa

kho gayi hain manzile, mit gaye hain raaste

kho gayi hain manzile, mit gaye hain raaste

gardishe hi gardishe, ab hain mere waaste

ab hain mere waaste

aur aise mein mujhe, phir bulaa gaya koyi

jhoomti chali hawaa, yaad aa gaya koyi

jhoomti chali hawaa

ek hook si uthi, main sihar ke rah gaya

ek hook si uthi, main sihar ke rah gaya

dil ko apne thaam ke aah bhar ke rah gaya

aah bhar ke rah gaya

chaandni ki ot se muskuraa gaya koyi

jhoomti chali hawaa, yaad aa gaya koyi

bujhti bujhti aag ko, phir jalaa gaya koyi

jhoomti chali hawaa

yaad aa gaya koyi, yaad aa gaya koyi

Explore this song