Roman script

jeena yaha marna yaha, iske siva jana kaha

ji chahe jab humko aawaz do, hum hai wahi hum the jaha

apne yahi dono jahan, iske siva jana kaha

ye mera git jivan sangit kal bhi koi dohrayega

jag ko hasane bahrupiya rup badal phir aayega

swarg yahi narak yaha, iske siva jaana kaha

ji chahe jab humko aawaz do, hum hai wahi hum the jaha

apne yahi dono jahan, iske siva jana kaha

kal khel me hum ho na ho, gardish me tare rahenge sada

bhuloge tum, bhulenge vo par hum tumhare rahenge sada

rahenge yahi apne nishan, iske siva jana kaha

ji chahe jab humko aawaz do, hum hai wahi hum the jaha

apne yahi dono jahan, iske siva jana kaha

jeena yaha marna yaha, iske siva jana kaha

Explore this song