Roman script

jannat hai dekhni to kisi dil me aashiya bana

jannat hai dekhni to kisi dil me aashiya bana

phulo ki ek jami bana geeto ka aasma bana

pyar ki anjuman me aa banja aftab

hai jo sarur ishk to pani bhi hai sharab

pani bhi hai sharab

kismat na jo mita sake aisa koi nishan bana

jannat hai dekhni to kisi dil me aashiya bana

khushbu-e-gul to dekh hai rangat juda juda

fark-e-najar mita de to banda hi hai khuda

banda hi hai khuda

koi na gair ho jaha aisa bhi ek jaha bana

jannat hai dekhni to kisi dil me aashiya bana

waqt ki suni rah me hasti hai ek mukam

or ye mukam kab talak jab tak chalke jam

jab tak chalke jam 

dunia ka sath chhod de khwabo ka tar yaha bana 

jannat hai dekhni to kisi dil me aashiya bana 

phulo ki ek jami bana geeto ka aasma bana

Explore this song