Roman script

mausam ka hai asar, ya ke jadu hai tera

kya baat hai jo dil bekabu hai mera

jana, kuch to batana

jana, kuch to batana

ho lag raha hai aisa kyu mujhe

dekhta hi jaau bas tujhe

baat teri aankho se, yaar main karu

imtihan lele chahe tu

meri jaan lele chahe tu

isse jyada ab main baat kya kahu

jana, kuch to batana

jana, kuch to batana

mausam ka hai asar, ya ke jadu hai tera

kya baat hai jo dil bekabu hai mera

jana, kuch to batana

jana, kuch to batana

o pyar jisse karta hai dil

uspe hi to marta hai dil

parwah kisi ki ye kisliye kare

phir bhi sochta hai baat ye

tute na kabhi sath ye

jane ye diwana kis baat se dare

jana, kuch to batana

jana, kuch to batana

mausam ka hai asar, ya ke jadu hai tera

kya baat hai jo dil bekabu hai mera

jana, kuch to batana

jana, kuch to batana

mausam ka hai asar, ya ke jadu hai tera

kya baat hai jo dil bekabu hai mera

jana, kuch to batana

jana, kuch to batana

jana, kuch to batana

jana, kuch to batana

Explore this song