Roman script

jaisi karni waisi bharni

yahi prabhu ka nyay

boye beej babul ke

to aam kaha se khaye

jo jaisa boye beej, yaha karni ka

jo jaisa boye beej, yaha karni ka

waisa hi wo phal pata

dusro ke ghar me aag lagane wala

khud hi usme jal jata

jo jaisa boye beej, yaha karni ka

dhul uchali to sar pe giregi

bande na itna bhul

kankar ke badle pathar milega

kate ke badle shul

jo jaisa apna khata dikhata

wo waisa hisab chukata 

dusro ke ghar me aag lagane wala

khud hi usme jal jata

jo jaisa boye beej, yaha karni ka

waisa hi wo phal pata

dusro ke ghar me aag lagane wala

khud hi usme jal jata

jo jaisa boye beej, yaha karni ka

Explore this song