Roman script

jab se maine dil lagaya dil kahin lagta nahi

ae mohabbat wo jaha hai tu mujhe le chal wahi

le ke jaau main kahan ruswayiyo ka kafila

haye kafila haye kafila

khatam hoga jane kis din do dilo ka faasla 

haye faasla haye faasla

aarzue dil ki sari khak ho kar rah gayi

jab se maine dil lagaya dil kahin lagta nahi

jee na rone se bahlta hai na ab fariyaad se

fariyaad se, fariyaad se

dil na gham kuch aur badh jata hai un ki yaad se

haye yaad se haye yaad se

aur unko bhul jana bhi mere bas me nahi

ae mohabbat wo jaha hai tu mujhe le chal wahi

mujh se kismat bhi khafa hai aur wo bhi hai juda

haye hai juda, haye hai juda

pyar ki pahli kiran chamki to suraj dhal gaya

haye dhal gaya, haye dhal gaya

meri duniya me andhere ke siwa kuch bhi nahi

jab se maine dil lagaya dil kahin lagta nahi

Explore this song