Roman script

jab se hum tum, bahaaro me
ho baithe gum, nazaaro me
jaise ye zindagi
jaagi aankho ka khwab hai
jab se hum tum, bahaaro me
ho baithe gum, nazaaro me
jaise ye zindagi
jaagi aankho ka khawab hai
milna to tha hume
is dil ki raah me
afasana ban gaye 
diwaane jiski chaah me
milna to tha hume
is dil ki raah me
afasana ban gaye 
diwaane jiski chaah me
diwaane jiski chaah me
afasaane the isi din ke
diwaane the isi din ke
jaise ye bekhudi 
jaagi aankho ka khwab hai
jab se ham tum, bahaaro me
ho baithe gum, nazaaro me
jaise ye zindagi
jaagi aankho ka khawab hai
chahat ke naam ka
chahat ka zaam hai
mahki mahki nashili 
bhigi bhigi shaam hai 
chahat ke naam ka
chahat ka zaam hai
mahki mahki nashili 
bhigi bhigi shaam hai 
bhigi bhigi shaam hai 
dhalki zulfe jo neendo ki
khulti balke, umeedo ki
jaise ye sham hai
jaagi aankho ka khawab hai
jab se hum tum, bahaaro me
ho baithe gum, nazaaro me
jaise ye zindagi
jaagi aankho ka khawab hai

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: Kamal Barot, Mukesh