Roman script

jaate ho to jaao hum bhi 
yaha vaado ke sahaare ji lenge
jaate ho to jaao hum bhi 
yaha vaado ke sahaare ji lenge
khud de ke kisi ko dil apnaa 
kuchh khel nahi jinaa lekin
khud de ke kisi ko dil apnaa 
kuchh khel nahi jinaa lekin
ghut ghut ke sahi mar mar ke sahi
ghut ghut ke sahi mar mar ke sahi 
jaise bhi banegaa ji lenge
rusvaa na karenge hum tumko
sine se lagaa lenge gam ko
ho umade jo kabhi dil se aansu 
hum dil hi dil me pi lenge
jaate ho to jaao hum bhi 
yaha vaado ke sahaare ji lenge
sine se laga kar yaado ko khaamosh rahenge raato ko
shikwe jo zabaan par aaye kabhi 
honto se zabaan ko si lenge
jaate ho to jaao hum bhi 
yaha vaado ke sahaare ji lenge

Song details

Song video

Watch on YouTube

actor: Dev Anand, Nargis, Nigar Sultana, Hafeez Jahaan, Anwarm Murad