Roman script

jaago musaafir jaago, jaago musaafir jaago 
kholo man ka dvaar, jaago musaafir jaago 
jaag utha hai aalam saara 
jaag utha hai aalam saara 
prem ki aayi pukaar, jaago musaafir jaago 
aaye saathi unhen bula lo 
dil se dil ko aaj mila lo 
aaye saathi unhen bula lo 
dil se dil ko aaj mila lo 
aaye saathi aaye 
sauda kar lo hansi khushi ka 
jag se kar lo pyaar, jaago musaafir jaago 
milake yahaan pe bichhad jo jaayen 
koi koi to phir mil jaayen 
milake yahaan pe bichhad jo jaayen 
koi koi to phir mil jaayen 
jeevan ki is raah pe koi 
jeevan ki is raah pe koi 
aata ek hi baar 
aata ek hi baar 
jaag utha hai aalam saara 
prem ki aayi pukaar, jaago musaafir jaago 
ajab tamaasha vo dikhalaataa, ajab tamaasha 
ajab tamaasha vo dikhalaata 
jod kisi se kisi ka naata 
jod kisi se kisi ka naata 
koi na jaane kaun taar mein vo 
koi na jaane kaun taar mein vo 
baandhe kaun sa taar, jaago musaafir jaago 
kholo man ka dvaar, jaago musaafir jaago

Song details