Roman script

ja re badal ja desh piya ke ja

mere sajan se mera sandesha ja sunake aa 

ja ja re badal ja

garajke baraske kahna meri pukar

tadap raha koi panchi pinjare me lachar

janam janam ke hum hai sathi pi ko yad dila

ja ja re badal ja ja ja re badal ja desh piya ke ja

mere sajan se mera sandesha ja sunake aa 

ja ja re badal ja

arj na maane dard na jane ye bairi sansar

mere man ke bich khada hai ban karke diwar

ho gayi mai tan man se unki ja unko batla

ja ja re badal ja ja ja re badal ja desh piya ke ja

mere sajan se mera sandesha ja sunake aa 

ja ja re badal ja

Explore this song