Roman script

itna na mujhse tu pyar badha 

ki mai ek badal aawara 

kaise kisi ka sahara banu ki 

mai khud beghar bechara 

itna na mujhse tu pyar badha 

ki mai khud beghar bechara 

kaise kisi ka sahara banu 

ki mai khud bechara 

arman tha gulshan par barsu

ek shokh ke daman par barsu 

armaan tha gulshan par barsu

ek shokh ke daman par barsu 

afsos jali mitti pe mujhe 

takdir ne meri de mara 

itna na mujhse tu pyar badha 

ki mai ek badal aawara 

kaise kisi ka sahara banu 

ki mai khud bechara 

madhosh humesha rehta hu 

khamosh hu sab kuchh kehta hu 

madhosh humesha rehta hu 

khamosh hu sab kuchh kehta hu 

koi kya jane mere sine mein hai 

bijli ka bhi angara 

itna na mujhse tu pyar badha 

ki mai ek badal aawara 

kaise kisi ka sahara banu 

ki mai khud beghar bechara 

itna na mujhse tu pyar badha

ki mai ek badal aawara 

kaise kisi ka sahara banu 

ki mai khud beghar bechara

Explore this song