Roman script

itne bade jaha me ai dil tujhko tujhko akela chhod u kaise

tujhko, tujhko akela chhod u kaise tujhko

tu naadaan log begaane in sang in sang naata jodu kaise

in sang, in sang naata jodu kaise in sang

mat jaa re mat ja in anajaani galiyo me, mat jaao mat jaao

mat jaa re mat ja in anajaani galiyo me, mat jaao mat jaao

bachiyo re duniya vaale chhaliyo se, bachiyo re bachiyo

tu ek jaan shikaari laakho inka inka nishaana todu kaise

inka, inka nishaana todu kaise inka

mat lalcha gar kaanto me phul bhi hai, mat lalcha re

mat lalcha gar kaanto me phul bhi hai, mat lalcha re

puchh kisi se dil ka lagaana bhul bhi hai, puchh kisi se

dhal jaaye raat bikhar jaaye sapne phir se inhe mai jodu kaise

phir se, phir se inhe mai jodu kaise phir se

haay na maana zaalim gair ka ho hi gaya, ho gaya re ho gaya

haay na maana zaalim gair ka ho hi gaya, ho gaya re ho gaya

haar ke sab kuch mai hu khadi dil kho hi gaya

kho gaya re kho gaya

jaata hai to ja diwane ab mai ab mai tera ji jodu kaise

ab mai, ab mai tera ji jodu kaise ab mai

itne bade jaha me ai dil tujhko tujhko akela chhod u kaise

tujhko, tujhko akela chhod u kaise tujhko

Explore this song