Roman script

ishq ke kaanto me

is ishq ke kaanto me hai phulo ka khazana

phulo ka khazana

daaman jo uljha jaaye to daaman na chhudana

daaman na chhudana

is ishq ke kaanto me hai phulo ka khazana

phulo ka khazana

is aankh me hai zahar bhi, jaadu bhi to khun bhi

armaano ka khun bhi

is shokh nazar se kabhi nazaren na milana

nazaren na milana

is ishq ke kaanto me hai phulo ka khazana

phulo ka khazana

har ? machalti hai, lahraati hai bahaare

padti hai fuhaare

aise me chale aao

aise me chale aao ki mausam hai suhana

mausam hai suhana

is husn-e-jaha ko ruka aalam hai kharidaar

duniya hai giraftaar

is husn-e-jaha ko ruka aalam hai kharidaar

duniya hai giraftaar

barsaat ki bhigi hui raaton ki kasam hai

kyu tumko alam hai

baadal ki tarah tum koi

baadal ki tarah tum koi

aansu na bahana, aansu na bahana

jis gam ko chhupaaye tha

jis gam ko chhupaaye tha main

duniya ki nazar se

har dard-e-bashar se

har ashq sunaane laga us gam ka fasana

us gam ka fasana

apna hi is duniya me kaha jata hai sadma

gam hota hai dugna

apna hi is duniya me kaha jata hai sadma

gam hota hai dugna

duniya me kisi ko bhi tum apna na banana

apna na banana

is ishq ke kaanto me hai phulo ka khazana

phulo ka khazana

Explore this song