Roman script

is duniya ne kabhi na jana 

mar mar kar jine walo ka 

dard bhra afsana haye dard bhra 

dard bhra afsana haye dard bhra 

jab hamne aankh hai kholi 

khun hmara unki holi 

hamne apne hi jakhmo se 

bhra li apni khali jholi 

tir jidhar bhi chale jahan mein 

ham hi bne nishana haye dard bhara

dard bhra afsana haye dard bhra 

hamne jitne dip jlaye tufano ne aan bujhaye 

dip jalane walo hi ko chas gaye andhiyare ke saye

aankh bachi aur chhupke chhupke le gaye 

chor khajana haye dard bhra

dard bhra afsana haye dard bhra 

dard bhra han dard bhra

Explore this song