Roman script

is bewafa jaha ka dastur hai purana

jalte rahe nashe man hasta rahe jamana

is bewafa jaha ka dastur hai purana

jalte rahe nashe man hasta rahe jamana

is bewafa jaha ka

dil ko jalane wale ye bhi na tune jana

dil ko jalane wale ye bhi na tune jana

ye dil nahi jala hai

ye dil nahi jala hai

tera hi aashiyana

is bewafa jaha ka

hargiz na muskurate itna agar samjhte

hargiz na muskurate itna agar samjhte

hai umar bhar ka rona

hai umar bhar ka rona

pal bhar ka muskurana

is bewafa jaha ka

aaja meri mohabbat aa dil ki baat sunle

aaja meri mohabbat aa dil ki baat sunle

ye baat badh gayi to 

ye baat badh gayi to 

ban jayega afsana

is bewafa jaha ka dastur hai purana

jalte rahe nashe man hasta rahe jamana

is bewafa jaha ka

Explore this song