Roman script

insan ka ho insan se bhaichara

yahi paigam hamara 

yahi paigam hamara

naye jagat me huya purana

unch nich ka kissa

sabko mile mehnat ke 

mutabik apna apna hissa

sabke liye sukh ka barabar ho bantwara

yahi paigam hamara 

yahi paigam hamara

harek mahal se kaho ke 

jhopdiyo me diye jalaye

chhoto aur bado me ab

koi phrak na rah jaye

is dharti par ho pyar ka

ghar ghar ujiyara

yahi paigam hamara 

yahi paigam hamara

insan ka ho insan se bhaichara

yahi paigam hamara 

yahi paigam hamara

Explore this song