Roman script

ji le andhere mein andhvishwas ke sath

roshani dhundhte dhundhte teri yaha ho jayegi maut

dakshina ke nam bhagwan ko de rahe risghawat

karodo daulat jama hai fir bhi desh mein kyo

hai takleef dharm dharm karke ham sab yaha

bichhad gayi insaniyat kya chij hai 

ye ham bhul gaye paise ke nashe mein  

ham sab yaha kho gaye 

hak ko khokar ham sab 

apni kabar mein yaha ro gaye so gaye

hichkichahat jaan ki kimat ho gayi hai 

sasti daulat hi dawa hai 

ye hai hasptaal ki rajniti

samsya dekh ke bhi andha banke kyo khada hai 

andha banke kyo khada hai andha banke kyo kahada hai 

ghunghe insano mein tu shabad kyu hai bech raha hai 

shabad kyu hai bech raha hai shabad kyu hai bech raha hai 

is jamin par hamara hak ladenge ham 

inqlab ke liye saath khade hai ham 

nayi kranti ki mashal jalegi ab 

ek behatar kal ke liye ladenge ham

ab ek hi maksad se jude hai ham 

badlave ke liye ab ladenge ham 

badlegi ghadi ye fauj apni khadi hai 

Inqlab Ke Liye ladenge ham ladenge ham

ladenge ham ladenge ham ladenge ham

ladenge ham ladenge ab ladenge ham

ham Inqlab hai aaj ham ladenge ham

Explore this song