Roman script

ilaahi kyaa ye shab-e-gam hai umr bhar ke liye

mai kabse jaag rahaa hun bas ek sahar ke liye

mai kabse jaag rahaa hun bas ek sahar ke liye

dil aag unke didaar ko tarasta hai

didaar ko tarasta hai

dil aag unke didaar ko tarasta hai

unhi ke gam me lahu aankh se barastaa hai

shariq-e-haal bane the jo umr bhar ke liye

mai kabse jaag rahaa hun bas ek sahar ke liye

mere hi dam se thi aabaad rahguzar unki

mere hi dam se thi aabaad rahguzar unki

meri taraf nahi uthti hai ab nazar unki

jahaa ko chhod diyaa jinki rahguzar ke liye

mai kabse jaag rahaa hun bas ek sahar ke liye

ye iltijaa hai ki ab umr mukhtasar karde

umr mukhtasar karde

ye iltijaa hai ki ab umr mukhtasar karde

mai jiski raat naa dekhun vohi sahar karde

ilaahi kya ye shab-e-gam, shab-e-gam hai umr bhar ke liye

mai kabse jaag rahaa hun bas ek sahar ke liye

mai kabse jaag rahaa hun bas ek sahar ke liye

Explore this song