Roman script

husn chala kuchh aisi chaal, diwane ka puchh na haal

pyar ki kasam kamaal ho gaya, haay pyar ki kasam kamaal ho gaya

dil ko abb tak hai inkaar, aankhe kar baithi ikraar

ho o kabhi paas aaye kabhi dur jaaye

ke hai dil churaane ki laakho adaaye

nahi tir nikala abhi tak kamaan se

nahi tir nikala abhi tak kamaan se

koyi unse keh de ke dil ko bachaaye, ke dil ko bachaaye

husn chala kuchh aisi chaal, diwane ka puchh na haal

pyar ki kasam kamaal ho gaya, haay pyar ki kasam kamaal ho gaya

dil ko abb tak hai inkaar, aankhe kar baithi ikraar

pyar ki kasam kamaal ho gaya, haay pyar ki kasam kamaal ho gaya

kahaan tak rahoge yeh daaman bachaake

ke mushkil hai bachana nishaane pe aake

hamaara hai kya ham toh mit ke rahenge 

hamaara hai kya ham toh mit ke rahenge 

jahaan tumne dekha jara muskuraake, jara muskuraake

dil ko abb tak hai inkaar, aankhe kar baithi ikraar

pyar ki kasam kamaal ho gaya, haay pyar ki kasam kamaal ho gaya

husn chala kuchh aisi chaal, diwane ka puchh na haal

pyar ki kasam kamaal ho gaya, haay pyar ki kasam kamaal ho gaya

ho o yeh din hai tumhaare jamaana tumhaare

nigaahe udhar hai idhar hai ishaara

yeh paigaam dete hai julfo ke saaye

yeh paigaam dete hai julfo ke saaye

chala aaye jo hai muhabbat ka maara, muhabbat ka maara

husn chala kuchh aisi chaal, diwane ka puchh na haal

pyar ki kasam kamaal ho gaya, haay pyar ki kasam kamaal ho gaya

dil ko abb tak hai inkaar, aankhe kar baithi ikraar

pyar ki kasam kamaal ho gaya, haay pyar ki kasam kamaal ho gaya

Explore this song