Roman script

hume bas ye pata hai wo bahot hi khubasurat hai

lifaafe ke liye lekin pate ki bhi jarurat hai

humne sanam ko khat likha

humne sanam ko khat likha, khat me likha

aye dilruba, dil ki gali, shahar-e-wafa

humne sanam ko khat likha, khat me likha

pahuche ye khat jaane kaha, jaane bane kya dastan

pahuche ye khat jaane kaha, jaane bane kya dastan

us par rakibo ka ye dar, lag jaaye unke hath agar

kitna bura anjaam ho, dil muft me badnaam ho

aisa na ho, aisa na ho, apne khuda se raat din

maanga kiye hum ye duwa

humne sanam ko 

humne sanam ko khat likha, khat me likha

aye dilruba, dil ki gali, shahar-e-wafa

humne sanam ko khat likha, khat me likha

pipal ka ye patta nahi, kaagaj ka ye tukda nahi

pipal ka ye patta nahi, kaagaj ka ye tukda nahi

is dil ka ye armaan hai, isme humari jaan hai

aisa gajab ho jaaye na, raste me ye kho jaaye na

humne badi takid ki, daala ise jab daak me

ye daakbaabu se kaha

humne sanam ko 

humne sanam ko khat likha, khat me likha

aye dilruba, dil ki gali, shahar-e-wafa

humne sanam ko khat likha, khat me likha

barso jawaab-e-yaar ka, dekha kiye hum raasta

barso jawaab-e-yaar ka, dekha kiye hum raasta

ek din wo khat waapas mila, aur dakiye ne ye kaha

is daak khane me nahi, saare jamaane me nahi

koi sanam is naam ka, koi gali is naam ki

koi shahar is naam ka

humne sanam ko, humne sanam ko

Explore this song