Roman script

humein duniya ko dil ke zakhm dikhlana nahi aata 

tadap lete hain lekin unko tadapana nahi aata

ghadi bhar ke liye bhi dur unse rah nahi sakte

tumhe hum chahte hain unse ye bhi kah nahi sakte

na jane kyun juba par dil ka afsana nahi aata

humein duniya ko dil ke zakhm dikhlana nahi aata

koyi halat ho duniaa pyar ki aabad rahti hain

kabhi jab wo nahin hote to unki yaad rahti hain

mohabbat wo kali hain jisko murjhana nahi aata

humein duniya ko dil ke zakhm dikhlana nahi aata

umange jaag uthi hain tamanna muskarai hain

humare dil ne armaano ki ik mehfil sajai hain

ye wo mehfil hain jisme koyi begana nahi aata

humein duniya ko dil ke zakhm dikhlana nahi aata 

tadap lete hain lekin unko tadapana nahi aata

humein duniya ko dil ke zakhm dikhlana nahi aata

Explore this song