Roman script

hamen kaash tumse mohabbat na hoti

hamen kaash tumse mohabbat na hoti

kahaani hamaari haqeeqat na hoti

hamen kaash tumse mohabbat na hoti

na dil tum ko dete na mazbur hote

na duniya na duniya ke dastoor hote

qayaamat se pahle qayaamat na hoti

hamen kaash tumse mohabbat na hoti

hamhi badh gaye ishq mein hadd se aage

zamaane ne thokar lagaayi to jaage

agar mar bhi jaate to hairat naa hoti

hamen kaash tumse mohabbat na hoti

tumhi phunk dete nasheman hamaare

mohabbat pe ehsaan hota tumhaara

zamaane se koyi shikaayat na hoti

hamen kaash tumse mohabbat na hoti

kahaani hamaari haqeeqat naa hoti

hamen kaash tumse mohabbat na hoti

Explore this song