Roman script

hey chandarvadan, chanda ki kiran

tum kis ka chitar banati ho

hey chandarvadan, chanda ki kiran

tum kis ka chitar banati ho

man ke bhavo ko rup rang de

man hi man muskati ho

hey chandarvadan, chanda ki kiran tum 

wo suraymukhi tum chandarmukhi

aasha ka deep jalati ho

jab nain mile ho suraj se

kyun chand se preet lagati ho

hey chandarvadan, chanda ki kiran tum 

jab nain mile to hraday mile

jab rain huyi bechain huye

wo bhi sudh budh kho baitha hai

tum jisko pass bulati ho

hey chandarvadan, chanda ki kiran tum 

tum jiski sharan wo shyam varan

tum jiski sharan wo shyam varan

arpan hai jispe tan man dhan

arpan hai jispe tan man dhan

hai man mandir me chhipa hua

hai man mandir me chhipa hua

tum jisko dekh lajati ho

hey chandarvadan, chanda ki kiran

tum kis ka chitar banati ho

Explore this song