Roman script

hay chhore ki jat badi bewafa
bewafa se koyi dil lagaye na, ho bewafa se koyi dil lagaye na
hay chhori ki jat badi bewafa
lut ley dil najariya milaye na, ho lut ley dil najariya milaye na
ho janu mai bhed hay sab tere ji ka, ho sab tere ji ka 
ho janu mai bhed hay sab tere ji ka, ho sab tere ji ka 
tujhse jo pyar kare na ho usi ka
puchho na hal mere dil ki lagi ka, ho puchho na hal mere dil ki lagi ka
duniya me tere siwa mai na kisi ka
aise jalim se prit kare koyi kya, prit karke jo murakh nibhaye na
hay chhori ki jat badi bewafa, lut ley dil najariya milaye na
ho ulfat ki ag lagi, dil ko jalane, ho dil ko jalane
ho ulfat ki ag lagi, dil ko jalane, ho dil ko jalane
dil par jo bit rahi to hi na janey
jao ji jao, karo na yeh bahane 
jao ji jao, karo na yeh bahane 
mai bhi na manu mera, dil bhi na mane 
ankho ankho me, tune liya dil mera
saf keh do key, dil hamko bhaye ne 
saf kah do key, dil hamko bhaye ne
hay chhore ki, jat badi bewafa
bewafa se koyi, dil lagaye na, ho bewafa se koyi dil lagaye na

Song details

Song video

Watch on YouTube

singer: G. M. Durrani, Lata Mangeshkar