Roman script

hai isi me pyar ki aabru 

wo jafa kare mai wafa karu

jo wafa bhi kam naa aa sake

to wohi kahen ke mai kya karu

hai isi me pyar ki aabru 

mujhe gam bhi unka ajeez hai

ke unhi ki di huyi cheez hai

mujhe gam bhi unka ajeez hai

ke unhi ki di huyi cheez hai

ke unhi ki di huyi cheez hai

yahi gam hai ab meri jindgi

ise kaise dil se juda karu

hai isi me pyar ki aabru

jo na ban sake mai wo bat hu

jo na khatm ho mai wo rat hu

jo na ban sake mai wo bat hu

jo na khatm ho mai wo rat hu

jo na khatm ho mai wo rat hu

ye likha hai mere nasib me

yuhi shamma banke jala karu

hai isi me pyar ki aabru

na kisi ki dil ki hu aarju

na kisi najar ki hu justuju

na kisi ki dil ki hu aarju

na kisi najar ki hu justuju

na kisi najar ki hu justuju

mai wo phul hu jo udas ho

naa bahar aaye to kya karu

hai isi me pyar ki aabru

wo jafa kare mai wafa karu

jo wafa bhi kar na sake

to wo hi kahe ke mai kya karu

hai isi me pyar kee aabru

Explore this song