Roman script

gam na kar khushi kaa daur aayega

gam na kar zamana aur aayega

gam na kar khushi kaa daur aayega

gam na kar zamana aur aayega

khatm ho gayi sitam ki daastan

khatm ho gayi sitam ki daastan

jhuk raha hai ab zami pe aasma

ab na ye hansi teri rulaayega

gam na kar zamana aur aayega

aa gaye hai dekho din bahaar ke

aa gaye hai dekho din bahaar ke

din guzar gaye hai intazaar ke

din guzar gaye hai intazaar ke

duhkh kaa ye sama badal hi jaayega

gam na kar zamana aur aayega

chaar din guzaar de hansi khushi

chaar din guzaar de hansi khushi

aa gaya vo vaqt jab ki aadmi

thokare nasib ke na khaayega

gam na kar zamana aur aayega

dekhna ye raat kat hi jaayegi

dekhna ye raat kat hi jaayegi

iske baad subah muskuraayegi

iske baad subah muskuraayegi

ik naya jahaan jagmagaayega

gam na kar zamana aur aayega

gam na kar khushi kaa daur aayega

gam na kar zamana aur aayega

Explore this song