Roman script

gam judaai ka yun to bahot tha magar 

gam judaai ka yun to bahot tha magar

dur tak haath fir bhi hilaana pada 

baith kar relgaadi me wo chal diye 

rote rote hame ghar ko aana pada 

gam judaai ka yun 

wo to chal bhi diya, dil mera tod kar 

mujhe biti hain kya, kaash leta khabar 

ye wo gam hain, hoga na kam umar bhar 

hoga paani ka kya, pattharon pe asar 

itana roya hun main, yaad kar ke use 

aansuo me mujhem, dub jaana pada 

gam judaai ka yun 

jiski khatir jamaane ko thukra diya 

suki chahat me mujhko mila ye shila 

gair ke saath uska milan ho gaya 

meri majburiyo ki nahi imtihaan 

uski shaadi me uski khushi ke liye 

pyaar ke geet mujhko hi gana pada 

gam judaai ka yun to bahot tha magar

dur tak haath fir bhi hilaana pada 

baith kar relgaadi me wo chal diye 

rote rote hame ghar ko aana pada 

rote rote hame ghar ko aana pada 

rote rote hame ghar ko aana pada

Explore this song